Translate

Wednesday, 16 April 2014

सुंदरता (BEAUTY)

Mai sochu kya hai sundarta.......

Mai manan karu, mai chintan karu,
Kya kaaya mai hai sundarta, yaa chhayaa mai hai sundarta,

Mai sochu kya hai sundarta.......

Jo tan sundar ho praani ka, chakshu bhi bandhe reh jate hai,
Ye kaisi hai mukh ki maaya, sab darshan ko lalchate hai,
Nayno ke dwar se wo pratima, hriday me kuch ese bas jati hai,
Kare laakh prayatn bhulaa dena ka, par ek amit chhap reh jaati hai,

Kya sach mai esi hai sundarta,
Mai sochu kya hai sundarta.......

Ye duniya sundarta par nyuchhawar hai, ye bas bahya aakarshan ka saawan hai,
Sab bhul gaye ham jante hai rituai to badalti belaa hai,
Koi truti nahi hai tum sabki ye sundarta ka maila hai,
Tan shan bhar k liye hi, tumhe unchayi par pahuchata hai,
Par man ki pawan nirmalta se har pal ek nayaa shikhar mil jaata hai,
Ye shanik nahi ye deerghayu hai, ye shareer ka saath nibhata hai,
Tan Man dono sang sang hai, tu kyu inme matbhed banata hai,

Man jaisi nirmal hai sundarta,
Mai sochu kya hai sundarta.......

Sun Sun prani meri vani, tan man ka tu mol bhaw naa kar,
Hai agar teri bhaawna sahi, to vyarth ki baaton ka pashchatap na kar,
Bas karna itna jeewan bhar, shareer se sundar tumhari aatmaa ho,
Ho chaah uski sarvshaktimaan ko, parmatma mai vileen wo param aatma ho,

Fir nishchhal teri sundarta,
Mai sochu kya hai sundarta.......

No comments: