Dekh tamasha duniya ka ,
Tu dekh tamashaa duniya ka.
Tu hasta hai ye roti hai
Tu rota hai ye hasti hai.
Ye khel purana duniya ka
Tu dekh tamashaa duniya ka.
Tujhe lagta hai wo tere sath hai,
Par haqiqat mai to kuch or baat hai,
Ek pal me hawa ka rukh badal jata hai,
Jab inka mizaz bigad jata hai,
Afsos na kar kabhi inke rishte par,
Inka to sabse hi esa naata hai.
Is duniya ko samajhna mushkil hai,
Hai imaan nahi is duniya ka.
Tu dekh tamashaa duniya ka.
Naam rakha "SAMAJ" isne,
Aur kuritiyaa ye failaati hai,
Sabko bhinn-bhinn tarah ki,
Jaatiyo se ye sajaati hai,
Agar haa me haa karega tu iski,
Ye teri hi ho jati hai,
Aur agar tune jo naa kar di,
To ye dushman bhi ban jaati hai,
'MAANAV DHARM' hai sabse uncha,
Ye nahi hai naraa duniya kaa
Tu dekh tamashaa duniya ka.
Tu dekh tamashaa duniya ka.
Tu hasta hai ye roti hai
Tu rota hai ye hasti hai.
Ye khel purana duniya ka
Tu dekh tamashaa duniya ka.
Tujhe lagta hai wo tere sath hai,
Par haqiqat mai to kuch or baat hai,
Ek pal me hawa ka rukh badal jata hai,
Jab inka mizaz bigad jata hai,
Afsos na kar kabhi inke rishte par,
Inka to sabse hi esa naata hai.
Is duniya ko samajhna mushkil hai,
Hai imaan nahi is duniya ka.
Tu dekh tamashaa duniya ka.
Naam rakha "SAMAJ" isne,
Aur kuritiyaa ye failaati hai,
Sabko bhinn-bhinn tarah ki,
Jaatiyo se ye sajaati hai,
Agar haa me haa karega tu iski,
Ye teri hi ho jati hai,
Aur agar tune jo naa kar di,
To ye dushman bhi ban jaati hai,
'MAANAV DHARM' hai sabse uncha,
Ye nahi hai naraa duniya kaa
Tu dekh tamashaa duniya ka.
1 comment:
Wow simmi...you always write something electric!!
Post a Comment